ishq ko taqlid se azad kar
dil se girya aankh se fariyad kar
baaz aa ai banda-e-husn-e-majaz
yuun na apni zindagi barbad kar
ai ḳhayalon ke makin nazron se duur
meri viran ḳhalvaten abad kar
naza.a men hichki nahin aa.i mujhe
bhulne vaale ḳhuda-ra yaad kar
husn ko duniya ki ankhon se na dekh
apni ik tarz-e-nazar ijad kar
ishrat-e-duniya hai ik ḳhvab-e-bahar
kaba-e-dil dard se abad kar
ab kahan ‘ehsan’ duniya men vafa
tauba kar nadan ḳhuda ko yaad kar
Leave a Reply