aqide bujh rahe hain sham-e-jan gul hoti jaati hai
magar zauq-e-junun ki shoala-samani nahin jaati
khuda malum kis kis ke lahu ki lala-kari hai
zamin-e-ku-e-janan aaj pahchani nahin jaati
agar yuun hai to kyuun hai yuun nahin to kyuun nahin akhir
yaqin mohkam hai lekin dil ki hairani nahin jaati
lahu jitna tha saara sarf-e-maqtal ho gaya lekin
shahidan-e-vafa ke rukh ki tabani nahin jaati
pareshan-rozgar ashufta-halan ka muqaddar hai
ki us zulf-e-pareshan ki pareshani nahin jaati
har ik shai aur mahngi aur mahngi hoti jaati hai
bas ik khun-e-bashar hai jis ki arzani nahin jaati
nae khvabon ke dil men shoala-e-khurshid-e-mahshar hai
zamir-e-hazrat-e-insan ki sultani nahin jaati
lagate hain labon par mohr-e-arbab-e-zaban-bandi
ali-‘sardar’ ki shan-e-ghazal-khvani nahin jaati
Leave a Reply