magar us ko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai
ulaTti hain safen gardish men jab paimana aata hai
nihayat dil ko hai marghub bosa ḳhal-e-mushkin ka
dahan tak apne kab tak dekhiye ye daana aata hai
ḳhushi se apni rusva.i gavara ho nahin sakti
gareban phaḌta hai tang jab divana aata hai
firaq-e-yar men dil par nahin ma.alum kya guzri
jo ashk ankhon men aata hai so betabana aata hai
bagule ki tarah kis kis ḳhushi se ḳhaak uḌata huun
talash-e-ganj men jo samne virana aata hai
samajhte hain mire dil ki vo kya na-faham o nadan hain
huzur-e-sham.a be-matlab nahin parvana aata hai
talab duniya ko kar ke zan-muridi ho nahin sakti
ḳhayal-e-abru-e-himmat-e-mardana aata hai
hamesha fikr se yaan ashiqana sher Dhalte hain
zaban ko apni bas ik husn ka afsana aata hai
tamasha-gah-e-hasti men adam ka dhyan hai kis ko
kise is anjuman men yaad ḳhalvat-ḳhana aata hai
saba ki tarah har ik ghairat-e-gul se hain lag chalte
mohabbat hai sarisht apni hamen yarana aata hai
ziyarat hogi ka.aba ki yahi ta.abir hai is ki
ka.i shab se hamare ḳhvab men but-ḳhana aata hai
ḳhayal aaya hai a.ina ka munh us men vo dekhenge
ab uljhe baal sukhane ki ḳhatir shana aata hai
phansa deta hai murgh-e-dil ko dam-e-zulf-e-pechan men
tumhare ḳhal-e-ruḳh ko bhi fareb-e-dana aata hai
itaab o lutf jo farmao har surat se raazi hain
shikayat se nahin vaqif hamen shukrana aata hai
ḳhuda ka ghar hai but-ḳhana hamara dil nahin ‘atish’
maqam-e-ashna hai yaan nahin begana aata hai
Leave a Reply