ka.i shaklon men ḳhud ko sochta hai
samundar paikaron ka silsila hai
badalti rut ka nauha sun raha hai
nadi soi hai jangal jagta hai
bikharne vaala ḳhud manzar-ba-manzar
mujhe kyuun zarra zarra joḌta hai
suno to phir hava ka tez jhonka
kise avaz deta ja raha hai
hava ka haath thame uḌ raha huun
hava fasil hava hi fasla hai
hudud-e-arz men gum hone vaala
ufuq ko imkan imkan janta hai
Leave a Reply