• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Inki Nazron Mein Na Ban Jae Tamasha Chehra

Inki Nazron Mein Na Ban Jae Tamasha Chehra

in ki nazron men na ban jaa.e tamasha chehra

is liye Darta huun dikhlane se apna chehra

jaane kya baat hui shahr-e-nigar-e-jan men

aaj kyuun ajnabi lagta hai shanasa chehra

bahr-e-gham bhi hai kabhi ashiq ḳhasta ke liye

hai kabhi sahil-e-ishrat bhi tumhara chehra

ham vahan hain jahan qaa.em hai hukumat dil ki

phir bhi kyuun roz dikhata hai karishma chehra

chehra-e-husn ko ab dekh ke ye sochta huun

aa.ina hai koi ya a.ina-ḳhana chehra

kya rahe dil ki koi baat muamma ban kar

karta rahta hai yahan dil ka fasana chehra

kaun hai jis ke liye itna pareshan hai dil

DhunDhta rahta hai ab kis ko vo chehra chehra

kushta-e-gardish-e-dauran hue uf ri taqdir

varna kal chand se behtar tha hamara chehra

vo tire phuul se din mujh ko bahut yaad aa.e

main ne dekha jo tira dhuup men jhulsa chehra

chashm-e-mushtaq za-sar ta-ba-qadam main bhi huun

ban gaya hai jo tira husn sarapa chehra

mehrban kaun mire dil pe hai itna ai ‘zafar’

har ghaḌi rahta hai ankhon men ye kis ka chehra

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apni Mahfil Mein Agar Mujhko Nahin Paoge

Yun to Milne Ko Ek Zamana Mila

Fard-E-Isyan Ko Wo Siyahi De

ajmal-siddiqi

dukhe dilon Pe Jo Pad Jae Wo Tabib Nazar

poet

Hijr Ka Chand Dard Ki Naddi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet