• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nikal Aaya Wo Ghabra Kar dil Us Ka Is Qadar dhadka

Nikal Aaya Wo Ghabra Kar dil Us Ka Is Qadar dhadka

poet

nikal aaya vo ghabra kar dil us ka is qadar dhadka

sada bijli ki di naale ne jab munh se mire kadka

thahar kuchh din men dast-andaziyon ka vaqt aaega

nihal-e-nau-damida huun bharosa kya miri jad ka

hamesha khak-o-khun men mujh ko betabi bithaya ki

ba-shakl-e-murgh-e-bismil kaun se pahlu nahin phadka

khayal-e-ariz-e-raushan men subh-o-sham yaksan hai

yahan athon-pahar pesh-e-nazar hai nuur ka tadka

ye sach hai vaqt par be-raunaqi bhi kaam aati hai

nihal-e-khushk ko khatka nahin hota hai patjhad ka

na kyuun pinhan rakhun daman men us ko kam-nigahon se

samajhta huun main apna ashk-e-gulgun laal gudad ka

guzarta hai salamat vaqif-e-anjam matlab se

nahin rasta khatakta aankh men dahqan ki bihad ka

liye hain gul ke bose aaj kis chori se bulbul ne

pada soya kiya gulchin koi patta nahin khadka

chhupaya parda-e-fanus ban kar jism-e-uryan ne

darun-e-ustukhvan se jis ghadi shoala koi bhadka

ba-juz iima kalam-e-ishq matlab se muarra hai

kisi par raaz khul sakta nahin majzub ki bad ka

fasahat ke khilaf aae nazar sab qafiye ham ko

‘nasim’ aisi zamin par kijiye itlaq bihad ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Urdu Key Shairi Hai to Hogi Ye Baat Bhi

poet

Apni to Mohabbat Ki Itni Si Kahani Hai

wali-mohammad-wali

Tera Majnun Hun Sahra Ki Qasam Hai

poet

Dushman-E-Jaan Hai Na Ghaarat-Gar-E-Din Hai Koi

ameer-minai

Achchhe Isa Ho Marizon Ka Khayal Achchha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet