go tiri zulfon ka zindani huun main
bhuul mat jaana ki sailani huun main
zindagi ki qaid koi qaid hai
sukhte talab ka paani huun main
chandni raton men yaron ke baghair
chandni raton ki virani huun main
jis qadar maujud huun mafqud huun
jis qadar ghaeb huun lafani huun main
mujh ko tanhai men sunna baith kar
mutrib-e-lamhat-e-vajdani huun main
jis qadar karta huun andesha ‘adam’
us qadar tasvir-e-hairani huun main
aql se kya kaam mujh nachiz ka
ek maamuli si nadani huun main
huun agar to huun bhi kya is ke siva
qimti virse ki arzani huun main
dil ki dhadkan badhti jaati hai ‘adam’
kis hasin ke zer-e-nigrani huun main
Leave a Reply