main udaas huun mire mehrban main udaas huun
tu kahin nahin hai tu hai kahan main udaas huun
mira shahr-e-ḳhvab to reza reza bikhar chuka
kahin kho ga.i miri kahkashan main udaas huun
mujhe apne qadmon ki ḳhaak men hi panah de
mere paas kuchh bhi nahin hai maan main udaas huun
ye jo jang hai kisi aur vaqt pe Taal den
saf-e-dostan saf-e-dushmanan main udaas huun
tumhen umr bhar ka hai tajraba koi mashvara
koi mashvara ai shikastagan main udaas huun
main ajiib huun nahin muḳhtalif haan ajiib huun
vahan saara shahr hai ḳhush jahan main udaas huun
Leave a Reply