kuchh ishq tha kuchh majburi thi so main ne jivan vaar diya
main kaisa zinda aadmi tha ik shakhs ne mujh ko maar diya
ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne khvab ki tha
vo ek bahar jo aai nahin us ke liye sab kuchh haar diya
ye saja-sajaya ghar sathi miri zaat nahin mira haal nahin
ai kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne azar diya
main khuli hui ik sachchai mujhe janne vaale jante hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyaar diya
vo ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yuun jiina bhi
us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya
main rota huun aur asman se taare tutte dekhta huun
un logon par jin logon ne mire logon ko azar diya
mire bachchon ko allah rakhe in taaza hava ke jhonkon ne
main khushk ped khizan ka tha mujhe kaisa barg-o-bar diya
Leave a Reply