dil hai mushtaq juda aankh talabgar juda
ḳhvahish-e-vasl juda hasrat-e-didar juda
zahidon se na bani hashr ke din bhi ya-rab
vo khaḌe hain tiri rahmat ke talabgar juda
ji jalane ko satane ko miTane ko mujhe
vo juda ghair juda charḳh-e-sitam-gar juda
bijliyan hazrat-e-musa pe girin do ik baar
shola-e-shauq juda shola-e-didar juda
ho ga.e vo sahar-e-vasl ye kah kar ruḳhsat
tujh se karta hai mujhe charḳh-e-sitamgar juda
qatl karte hi mujhe jalva-numa.i bhi hui
dar pe hangama alag hai pas-e-divar juda
zahidon ki tiri rahmat pe chaḌha.i hai alag
Toliyan bandh kar aa.e hain gunahgar juda
vaz.a ka paas bhi hai ‘beḳhud’-e-mai-ḳhvar zarur
kaag botal se na kijiye sar-e-bazar juda
Leave a Reply