• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Purkhon Ki Riwayat Se haTta Hua Main

Apne Purkhon Ki Riwayat Se haTta Hua Main

apne purkhon ki rivayat se haTta hua main

zindagi tere sabhi rangon se kaTta hua main

had-e-idrak se aage hai rasa.i lekin

apne andar kisi markaz pe simaTta hua main

hai mohabbat ḳhas-o-ḳhashak-e-mulaqat ka naam

aag ban ke kisi paikar se lipaTta hua main

kaise la-yani iradon ki chubhan hai mujh men

kaisi avazon pe har lamha palaTta hua main

koi vahshi hai miri zaat men pinhan har shab

ik darinde ki tarah us pe jhapaTta hua main

zindagi razm-gah-e-sud-o-ziyan hai ‘anjum’

ek bebas ki tarah us se nimaTta hua main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Fasle Koi Nikle Na Qurbaten Niklin

Sipi Sada Munh Jab Khole Kirnon Ki Tab Barish Ho

Mera Yaqin Hai Wo Aaina Nikalegi

Ghar Mein miTTi Ka Diya Maujud Hai

KHayal-O-KHwab Ki Ab Rahguzar Mein Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet