Wo Raqs Kahan Aur Wo Tab-O-Tab Kahan Hai

vo raqs kahāñ aur vo tab-o-tāb kahāñ hai

vo sajda-e-shauq aur vo mehrāb kahāñ hai

hai ābla-pā.ī hī tirā naqsh-e-kaf-e-pā

sahrā-e-laq-o-daq hai yahāñ aab kahāñ hai

aurāq-e-dil-o-jāñ meñ haiñ kuchh daaġh hī baaqī

vo ishq-o-aqīdat kā hasīñ baab kahāñ hai

ik ashk-e-nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai

palkoñ pe sajāyā huā vo ḳhvāb kahāñ hai

ab durd-e-tah-e-jām hai yā tishna-labī hai

sahbā vo kahāñ sāġhar-e-mahtāb kahāñ hai

kyā TuuT ga.e aap hī shabnam ke vo dhāge

vo pyaar kā resham dil-e-betāb kahāñ hai

‘tanvīr’ rah-e-zīst meñ tanhā ye safar kyuuñ

vo lutf kahāñ pursish-e-ahbāb kahāñ hai

Leave a Comment