• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dekh Jazbaat-E-Nazar Sab Raegan Ho Jaenge

Dekh Jazbaat-E-Nazar Sab Raegan Ho Jaenge

dekh jazbat-e-nazar sab ra.egan ho ja.enge

vo nihan hi kab hain nadan jo ayaan ho ja.enge

kya ḳhabar thi raz-ha-e-dil zaban ho ja.enge

mere do aansu bhi meri dastan ho ja.enge

jaan kho kar gham men jan-e-dastan ho ja.enge

ye nishani chhoḌ kar ham be-nishan ho ja.enge

asman-e-hashr hashr-e-asman ho ja.enge

jab ba-tashrih-e-javani vo javan ho ja.enge

be-ḳhudi ke bandagi ke zauq ke jazbat ke

ek hi sajde men saare imtihan ho ja.enge

ai ghalat-andesh mere ansuon ko tu na chheḌ

ye zamin par gir ga.e to asman ho ja.enge

tu Thahar kar kaash dekhe vo bhi vaqt aane ko hai

tujh se koson duur ai umr-e-ravan ho ja.enge

kamran sabit vahi honge rah-e-maqsud men

jo qadam barbad sa.i-e-ra.egan ho ja.enge

aaj sunte hain zamane ki ‘shifa’ ham dastan

kal zamane ke liye ḳhud dastan ho ja.enge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dasht-E-Dil Mein Sarab Taza Hain

Saba Ka Narm Sa Jhonka Bhi Taziyana Hua

KHWAJA GHULAM FARID

Yar dadhi Ishaq Aatish Lai Hai

Hai Rakhni Kitni Rawani Nahin Samajh Pae

kaifi-azmi

Nazrana

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet