main rang birangi morni mire pankh bahut mumtaz
mira raqs anokha raqs hai mujhe apne aap pe naaz
main sabz ruton ki razdan main patjhaḌ ki hamdard
main apni aap misal huun mera ek juda andaz
main dhani shaam ka ruup bhi main sub.h ki komal dhuup
mujhe dekh ke koyal gaa.e to har paat baja.e saaz
main mast alast faqirni nachungi tire dvaar
miri chhatri ban ja sa.iyan mujhe apna ishq navaz
main varis shaah ki hiir huun mire ruup hain ek hazar
mira naam ‘shumama’ ufuq hai mahkaron ki avaz
Leave a Reply