yaqin ne mujh ko asir-e-guman na rahne diya
ki us ne rabt koi darmiyan na rahne diya
miri nazar hi samundar ki aḳhiri had thi
miri thakan ne mujhe par-fishan na rahne diya
kisi ne kashti utari to thi samundar men
magar hava ne koi badban na rahne diya
koi to barf-ba-kaf dasht ki taraf aaya
kisi ne bahr men paani ravan na rahne diya
har ek lafz men yuun kar diya lahu shamil
ki dastan ko faqat dastan na rahne diya
‘najib’ kis tarah jagen ki in andheron ne
sahar ka taara sar-e-asman na rahne diya
Leave a Reply