tum ne dekha hai kabhi dil ye hamara TuuTa
dekhne aata hai har shaam sitara TuuTa
reg-e-sahil pe kisi naam ka aansu Tapka
mauj-e-betab se dariya ka kinara TuuTa
dil ki ik samt banaya tha koi shish-mahal
gham ki andhi men magar saare ka saara TuuTa
tez raftar safar se to gurezan hi rahe
ham kisi yaad men gum the ki ishara TuuTa
ham to samjhe the mohabbat men baḌi taqat hai
ye bharam bhi to sar-e-husn hamara TuuTa
ek mazbut ta.alluq hai shikasta ‘manzar’
ḳhud ko barbad kiya us ko sanvara TuuTa
Leave a Reply