dil ko kya ho gaya khuda jaane
kyuun hai aisa udaas kya jaane
apne gham men bhi us ko sarfa hai
na khila jaane vo na kha jaane
is tajahul ka kya thikana hai
jaan kar jo na muddaa jaane
kah diya main ne raz-e-dil apna
us ko tum jaano ya khuda jaane
kya gharaz kyuun idhar tavajjoh ho
hal-e-dil aap ki bala jaane
jante jante hi janega
mujh men kya hai abhi vo kya jaane
kya ham us bad-guman se baat karen
jo sataish ko bhi gila jaane
tum na paoge sada-dil mujh sa
jo taghaful ko bhi haya jaane
hai abas jurm-e-ishq par ilzam
jab khata-var bhi khata jaane
nahin kotah daman-e-ummid
aage ab dast-e-na-rasa jaane
jo ho achchha hazar achchhon ka
vaaiz us but ko tu bura jaane
ki miri qadr misl-e-shah-e-dakan
kisi navvab ne na raaja ne
us se utthegi kya musibat-e-ishq
ibtida ko jo intiha jaane
‘dagh’ se kah do ab na ghabrao
kaam apna bata hua jaane
Leave a Reply