hasb-e-vaada mujh se milne vo kabhi aaya nahin
is se badh kar aur kuchh bhi hausla-farsa nahin
hijr tha is ka bahut sabr-azma mere liye
gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
daavat-e-nazzara de kar aisa vo ghaeb hua
meri ankhon ne dobara phir use dekha nahin
katne ko daudte hain mujh ko ye divar-o-dar
jaise main tanha huun vaise koi bhi tanha nahin
murtaish rahta hai ab har dam mira tar-e-vajud
kya guzarti hai mire dil par kabhi kahta nahin
kar raha huun apni ye tarhi ghazal nazr-e-‘munir’
aisa shair aaj tak main ne kabhi dekha nahin
kar ke is ke vaada-e-farda pe ‘barqi’ e’tibar
main kai din tak musalsal rat-bhar soya nahin
Leave a Reply