tira vajud tiri shaḳhsiyat kahani kya
kisi ke kaam na aa.e to zindagani kya
havas hai jism ki ankhon se pyaar gha.eb hai
badal ga.e hain sabhi ishq ke ma.ani kya
azal se jaari hai ta hashr hi chalega safar
samay ke samne dariyaon ki ravani kya
ye manta huun main mehman ḳhuda ki rahmat hai
ke tum ne dekhi nahin meri mezbani kya
ḳhumar-e-ishq bhi utrega roz-e-vasl ke baad
rahegi apni bhala umr bhar javani kya
bina laḌe hi jo tu mushkilon se haara hai
ragon men teri lahu ban gaya hai paani kya
ḳhushi ki chaah men kuchh gham uThane paḌte hain
gulon ki ḳhaar nahin karte pasbani kya
Leave a Reply