ik shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai
baaqi jo ta.alluq hai vo tohmat ki tarah hai
kya janiye kis lamha ye hathon se phisal jaa.e
ik rishta jo nadar ki ghairat ki tarah hai
dekhun to sahi hoti hai kya vasl ki tausi.a
ab hijr tira meri zarurat ki tarah hai
ik sabz sa nuqta ye batata hai ki hai vo
ab us se mulaqat alamat ki tarah hai
ik surat-e-mauhum ki zinda hai na murda
dekho to zamane men qayamat ki tarah hai
lene ko hain angḌa.i ye ḳhvabida-o-pamal
jo sang yahan hai vo imarat ki tarah hai
agah ki gulzar hai ik atish-e-namrud
baaqi jo hai shaddad ki jannat ki tarah hai
hai sad-qalam-e-gul se chaman-zar sahifa
aur jumbish-e-gul-barg tilavat ki tarah hai
kam ma.arka-e-zist nahin jang-e-uhad se
asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai
kya kahiye ki ḳhud gharq rahe is men gale tak
kahte hue duniya ye najasat ki tarah hai
Leave a Reply