• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Ka dard Ho dil Be-Qarar Apna Hai

Kisi Ka dard Ho dil Be-Qarar Apna Hai

nasir-kazmi

kisi ka dard ho dil be-qarar apna hai

hava kahin ki ho siina figar apna hai

ho koi fasl magar zakhm khul hi jaate hain

sada-bahar dil-e-dagh-dar apna hai

bala se ham na piyen mai-kada to garm hua

ba-qadr-e-tishnagi ranj-e-khumar apna hai

jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote hain

hazar shukr gham-e-paedar apna hai

isi liye yahan kuchh log ham se jalte hain

ki ji jalane men kyuun ikhtiyar apna hai

na tang kar dil-e-mahzun ko ai gham-e-duniya

khudai-bhar men yahi gham-gusar apna hai

kahin mila to kisi din mana hi lenge use

vo zud-ranj sahi phir bhi yaar apna hai

vo koi apne siva ho to us ka shikva karun

judai apni hai aur intizar apna hai

na dhundh ‘nasir’-e-ashufta-hal ko ghar men

vo bu-e-gul ki tarah be-qarar apna hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Khuda-Parast Hue Na Hum But-Parast Hue

khumar-barabankavi

Ai Maut Unhen Bhulae Zamane Guzar Gae

Aish Mazi Ke Gina Haal Ka Tana De De

gulzar

Boski

chhuTe Ye Dhund Nazar Aae Abr-Para Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet