• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khayal-O-Khwab Hua Barg-O-Bar Ka Mausam

Khayal-O-Khwab Hua Barg-O-Bar Ka Mausam

parveen-shakir

khayal-o-khvab hua barg-o-bar ka mausam

bichhad gaya tiri surat bahar ka mausam

kai ruton se mire nim-va darichon men

thahar gaya hai tire intizar ka mausam

vo narm lahje men kuchh to kahe ki laut aae

samaaton ki zamin par phuvar ka mausam

payam aaya hai phir ek sarv-qamat ka

mire vajud ko khinche hai daar ka mausam

vo aag hai ki miri por por jalti hai

mire badan ko mila hai chinar ka mausam

rafaqaton ke nae khvab khushnuma hain magar

guzar chuka hai tire eatibar ka mausam

hava chali to nai barishen bhi saath aaiin

zamin ke chehre pe aaya nikhar ka mausam

vo mera naam liye jaae aur main us ka naam

lahu men guunj raha hai pukar ka mausam

qadam rakhe miri khushbu ki ghar ko laut aae

koi batae mujhe ku-e-yar ka mausam

vo rose aa ke mujhe apna pyaar pahnae

mira ghurur hai bele ke haar ka mausam

tire tariq-e-mohabbat pe barha socha

ye jabr tha ki tire ikhtiyar ka mausam

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Makan Mera Azal Se DhunDhti Phirti Thi Virani

poet

Haqiqat Apni Bas Itni Hi Jaanta Hun Main

Shauq-E-Nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin

Sheikh Saadi

Story 7- The Morals Of dervishes – Gulistaan-e-Sa.Adii

Tumhaare Kaam Agar Aae Muskurane Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet