ulfat na karunga ab kisi ki
dushman hua jis se dosti ki
halat kahun apni be-ḳhudi ki
dil de ke suno jo mere ji ki
avval avval bhala.iyan kiin
aḳhir aḳhir bahut buri ki
masruf hai sina-kubi men dil
aati hai sada dhaḌa-dhaḌi ki
ulfat pe teri ḳhatma hai
ab le le qasam tu ashiqi ki
karte rahe iḳhtira.a aaphi
taqlid na ki kabhi kisi ki
rone pe mere hanste hain aap
hans lijiye baat hai hansi ki
kyunkar na farefta ho insan
tan huur ka shakl hai pari ki
shirin-dahno nahin hai zeba
tum baten karo na phiki phiki
divana hua huun ik pari ka
taqsir ye hai to vaqa.i ki
be-yar hai dil kabab-e-saqi
taklif na kar tu mai-kashi ki
ankhen laḌin tujh se main hua qatl
in turkon ne jang-e-zargari ki
karne do badi jo karte hain ghair
sunta nahin ‘rind’ vo kisi ki
Leave a Reply