jab sajile khiram karte hain
har taraf qatl-e-am karte hain
mukh dikha chhab bana libas sanvar
ashiqon ko ghulam karte hain
ye chakore mil us sirijan suun
raat din apna kaam karte hain
yaar ko ashiqan-e-sahab-fan
ek dekhe men raam karte hain
gardish-e-chashm suun sirijan sab
bazm men kar-e-jam karte hain
ye nahin nek taur khuban ke
ashnai ko aam karte hain
ji ko karte hain ashiqan taslim
jab vo hans kar salam karte hain
murgh-e-dil ke shikar karne kuun
zulf o kakul ko daam karte hain
shokh mera butan men jab jaave
us ko apna imaam karte hain
khub-ru ashna hain ‘faez’ ke
mil sabi raam raam karte hain
Leave a Reply