Hawa Ki Chaal Chal Jaega Tu Bhi

havā kī chaal chal jā.egā tū bhī

ḳhabar kyā thī badal jā.egā tū bhī

kahāñ Thahrī hai ḳhvāhish koī dil meñ

mire dil se nikal jā.egā tū bhī

muḳhātab huuñ jamāl-e-yār tujh se

misāl-e-māh Dhal jā.egā tū bhī

bas apne tajarbe kī raushnī meñ

maiñ samjhā thā sambhal jā.egā tū bhī

hañse tū laakh merī tiflagī par

khilaunoñ se bahal jā.egā tū bhī

Leave a Comment