kuchh aur mire dard ke sho.alon ko hava do
be-nur hue daagh andhera hai ziya do
pichhe gham-o-andoh ke fir.aun ka lashkar
aage alam-o-yas ka dariya hai asa do
main dasht-e-gham-e-ishq men hansta hua aa.uun
raste se gham-e-dahr ki divar haTa do
main aur sulagta hua sahra-e-tajassus
bhaTka hua raahi huun koi raah dikha do
kyuun meri shikaston ko sahara nahin milta
insan huun muhtaj ḳhuda ka huun ḳhuda do
is shahar men jiine ki hai ab ek hi surat
ehsas ke mansur ko suuli pe chaḌha do
is daur ka suqrat huun sach bol raha huun
kya der hai kyuun chup ho mujhe zahr pila do
Leave a Reply