bura ho gaya ya bhala ho gaya
mohabbat men jo kuchh hua ho gaya
mohabbat ka e.ajaz hai aur kya
ki jis but ko chaha ḳhuda ho gaya
mohabbat karen bhi to kis se karen
zamana baḌa bevafa ho gaya
kabhi mil ham se adu se kabhi
jo tum ne kiya vo rava ho gaya
vo rind-e-ḳharabat apna ‘sahar’
suna hai ki ab parsa ho gaya
Leave a Reply