abhi mara nahin zinda hai aadmi shayad
yahin kahin use dhundo yahin kahin hoga
badan ki andhi gupha men chhupa hua hoga
badha ke haath
har ik raushni ko gul kar do
havaen tez hain jhande lapet kar rakh do
jo ho sake to un ankhon pe pattiyan kas do
na koi paanv ki aahat
na sanson ki avaz
dara hua hai vo
kuchh aur bhi na dar jaae
badan ki andhi gupha se na kuuch kar jaae
yahin kahin use dhundo
vo aaj sadiyon baad
udaas udaas hai
khamosh hai
akela hai
na jaane kab koi pisli phadak uthe us ki
yahin kahin use dhundo yahin kahin hoga
barhana ho to use phir libas pahna do
andheri ankhon men suraj ki aag dahka do
bahut badi hai ye basti kahin bhi dafna do
abhi mara nahin
zinda hai aadmi shayad
Leave a Reply