hamari ankhon men ashkon ka aa ke rah jaana
jhuka ke sar ko tira muskura ke rah jaana
dila bahut na ulajh nama-bar ko kya main ne
sikha diya tha ki jaana to ja ke rah jaana
shahid-e-naz ki bhuli nahin mujhe surat
tiri taraf ko nigahen phira ke rah jaana
vo bazm-e-ghair vo har baar iztirab mira
ba-maslahat vo tira muskura ke rah jaana
thahar to ja rukh-e-janan pe ai nigah kuchh der
sanad nahin faqat aansu baha ke rah jaana
nigah-e-naz se saaqi ka dekhna mujh ko
mira vo haath men saghar utha ke rah jaana
jo puchhen hashr men kuchh vo to haan dila shabash
vahan bhi tu yuun hi baten bana ke rah jaana
agar tha nashsha to girna tha pa-e-khum pe mujhe
mujhe pasand nahin ladkhada ke rah jaana
nahin ye husn nahin bakht ki hai kotahi
saval-e-vasl ka honton tak aa ke rah jaana
kisi tarah to ye jism-e-kasif paak ho shaad
gali men yaar ki jaana to ja ke rah jaana
Leave a Reply