baagh men tu kabhu jo hansta hai
ghuncha-e-dil mira bikasta hai
are be-mehr mujh ko rota chhoḌ
kahan jaata hai menh barasta hai
tere maron huon ki surat dekh
mera marne ko ji tarasta hai
teri tarvar se koi na bacha
ab kamar kis upar tu kasta hai
kyuun mozahim hai mere aane se
kui tira ghar nahin ye rasta hai
meri fariyad koi nahin sunta
koi is shahr men bhi basta hai
‘hatim’ us zulf ki taraf mat dekh
jaan kar kyuun bala men phansta hai
Leave a Reply