shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya
to ik zamana tira muntazir nazar aaya
tamam-umr ki sahra-navardiyon ke baad
tira maqam sar-e-gard-e-rahguzar aaya
ye kaun abla-pa is taraf se guzra hai
nuqush-e-pa men jo phulon ke rang bhar aaya
kise majal ki nazzara-e-jamal kare
is anjuman men jo aaya ba-chashm-e-tar aaya
tiri talab ke ghane jangalon men aag lagi
mire khayal men jab vahm-e-rahguzar aaya
simat gaya miri bahon men jab vo paikar-e-rang
to is ka rang mujhe duur tak nazar aaya
is arizon men ki zid kibriya ki puuri ho
‘nadim’ khaak pe aflak se utar aaya
Leave a Reply