ankhon men ḳhvab si hain yaden zara zara si
din par jhuki hui hain raten zara zara si
mausam badal ga.e hain sab shahr-e-arzu ke
kya kar ga.iin qayamat baten zara zara si
ye zindagi ki baazi bazigari nahin hai
kya khel khelti hain maten zara zara si
guzre hain karvan jab shadab manzilon se
qadmon men rah ga.i hain rahen zara zara si
hai saqi-e-ufuq par baaqi hisab din ka
gulnar ho ga.i hain shamen zara zara si
hota nahin nazar ko andaza-e-numu bhi
phulon men dab ga.i hain shaḳhen zara zara si
un ke lahu men utre kya rang aabru ka
jo zindagi se rahat mangen zara zara si
sanbhla nahin chaman se phir naghma-e-baharan
sar se nikal ga.i hain tanen zara zara si
shayad ‘samad’ kisi ne daman rakha hai lau par
khulne lagin hava ki bahen zara zara si
Leave a Reply