aur to apni qismat men kya likkha hai
tere naam ki maala japna likkha hai
kab tak mera naam chhupa.egi sab se
hiir tire chehre par ranjha likkha hai
agar nahin main to phir us ka naam bata
jis ki qismat men mai-ḳhana likkha hai
paḌhne vaale paḌh kar chup ho jaate hain
kore-kaghaz par jaane kya likkha hai
koi bhi yug ho koi bhi afsana
ashiq ki taqdir men rona likkha hai
Leave a Reply