jo pi raha hai sada ḳhuun be-gunahon ka
vo shaḳhs to hai numa.inda kaj-kulahon ka
jise bhi chaha salib-e-sitam pe khinch diya
faqih-e-shahr to qaa.il nahin gavahon ka
ham ahl-e-dil hain sadaqat hamara sheva hai
hamen Dara na sakega jalal shahon ka
har ek qadr ko rusva.iyan milin in se
ajiib sa raha kirdar-e-din panahon ka
miri zamin ko maqbuza tu zamin na samajh
ki TuTne ko hai afsun tiri sipahon ka
abhi to azm-e-safar bhi kiya na tha ham ne
ki jaag uTTha har ik zarra shah-rahon ka
Leave a Reply