sun ke har samt siskiyan main ne
band kar liin thiin khiḌkiyan main ne
ye bhi dastur hai mohabbat ka
haar kar jiiti baziyan main ne
haath uThte nahin dua ke liye
ab jala diin hain arziyan main ne
ham-safar vo jo ham-safar hi na tha
aur phir kar liin duriyan main ne
par katar paa.i jab na ḳhvabon ke
band hi kar diin khiḌkiyan main ne
Leave a Reply