tasvir-e-na-mukammal ik tishnagi ka ḳhaka
par phaḌphaḌa raha hai anqa miri sada ka
sab kyon dikha rahe hain mauhum si ḳharashen
puchha tha sirf main ne bimar se dava ka
divangi nahin jo chhu chhu ke dekhta huun
ankhen hi ab mili hain andha tha main sada ka
hathon ko jaane kab se bas dho.e ja raha huun
saada se canvas par saaya sa hai hava ka
chheḌo na in ragon ko shaḳhen ye phuul si hain
marham na mil sakega phir zaḳhm-e-narava ka
vahmon ki sau hain shaklen lakḌi ke ek ghar men
kya kya nahin dikhata ye raat ka khaTaka
ik be-dimagh hathi lashkar se aa mila hai
ab ye dimagh hoga lashkar ke naqsh-e-pa ka
Leave a Reply