mohabbat ka mujhe da.ava hi kya hai
chalo jaane bhi do jhagḌa hi kya hai
bahut kuchh dekhna hai aage aage
abhi dil ne mire dekha hi kya hai
ilahi kis ke liye girti hai bijli
nasheman men mire rakkha hi kya hai
mohabbat men jiye ya koi mar jaa.e
kasi ki aap ko parva hi kya hai
na manega na manega mira dil
”nahin” se aap ki hota hi kya hai
Leave a Reply