zindagī ho mirī nazar meñ ho
ho davāoñ meñ chashm-e-tar meñ ho
jab bhī likkhā hai tum ko likkhā hai
tum hī lafzoñ meñ ho satar meñ ho
tum hī mehvar ho har taḳhayyul kā
mīr-o-ġhālib meñ ho zafar meñ ho
tum fazāoñ meñ raqs kartī ho
kū-ba-kū phailtī ḳhabar meñ ho
ab zamāne se kyā chhupā.ūñ maiñ
tum to mahtāb ho nazar meñ ho
merī qismat bane bhī rishte qamar
koī tum sā jo mere ghar meñ ho
kuchh laboñ par hameñ bhī hai ‘aslam’
jī ke utre hue bhañvar meñ ho