• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kyun Na Afsana-E-Gham Kaif Ka Unwan Thahre

Kyun Na Afsana-E-Gham Kaif Ka Unwan Thahre

kyuun na afsana-e-gham kaif ka unvan Thahre

shiddat-e-dard hi jab dard ka darman Thahre

jis jagah ham sa koi chak-e-gareban Thahre

shauq se aa ke vahan fasl-e-baharan Thahre

us ke daman ki taraf haath baḌha.un kaise

jis ke daman ki mahak sho.alagi-e-jan Thahre

manzilen aati hain aur aa ke guzar jaati hain

dekhiye ja ke kahan qafila-e-jan Thahre

pichhle va.ade jo nahin yaad to kya baat hui

phir koi ahd-e-vafa phir koi paiman Thahre

aap ko dekhun to ho duur miri tishna-labi

aap aa jaa.en to jazbat ka tufan Thahre

shoḳhi-e-dast-e-saba se to koi kuchh na kahe

mere sar tohmat-e-gesu-e-pareshan Thahre

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zauq-E-Numu Ko Manzil-E-Dost Mein Aa Ke Bhul Ja

baiThe-baiThe Ek Dam Se Chaunkati Hai

abdul-hamid-adam

Ai Mera Jam Todne Wale

Is Auj Par Na Uchhaalo Mujhe Hawa Kar Ke

Tum Pe Kya Bit Gai Kuchh to Batao Yaro

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet