ta-falak hai ḳhushbuon ka silsila
phenk de mujh ko ḳhalaon men zara
chhoḌ ke tanha mujhe kyon vo ga.e
main bhi hairan huun kya hai main ne kiya
chandni pighli hui thi raat ki
din na jaane kyon udasi men raha
ab kabhi shayad nahin aa.ega vo
din bhi Duuba raat ne pahra kiya
aaj bhi bahar na din bhar ja saka
rasta tha dhund men lipTa hua
zindagi ne dard jo mujh ko diya
sha.iri se vo kisi had tak miTa
Leave a Reply