• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Saza Hai Kis Ke Liye Aur Jaza Hai Kis Ke Liye

Saza Hai Kis Ke Liye Aur Jaza Hai Kis Ke Liye

Sufi

saza hai kis ke liye aur jaza hai kis ke liye

pata nahin dar-e-zindan khula hai kis ke liye

surahi-e-mai-e-nab-o-safina-ha-e-ghazal

ye harf-e-husn-e-muqaddar likha hai kis ke liye

faqat shunid hai ab tak jo diid ho to bataen

bahar-e-sabza-o-raqs-e-saba hai kis ke liye

nahin jo apne liye bavajud zauq-e-nazar

sahifa-e-ruḳh-o-rang-e-hina hai kis ke liye

miTa sake na agar tishna-kamiyan meri

kaho ki ḳhubi-e-ab-o-hava hai kis ke liye

tumhen nahin ho agar aaj gosh-bar-avaz

ye meri fikr ye meri nava hai kis ke liye

ye ik saval hai shikva nahin gila bhi nahin

mire ḳhuda tira lutf-o-ata hai kis ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani

Wo Ja Chuke Hain Magar KHalfashaar Baqi Hai

Usko Bhi Humse Mohabbat Ho Zaruri to Nahin

shaKH Mein Sabza Dhup Mein Saya Wapas Aaya

Dard Ka Mere Yaqin Aap Karen Ya Na Karen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet