• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Angdai Bhi Wo Lene Na Pae Utha Ke Hath

Angdai Bhi Wo Lene Na Pae Utha Ke Hath

poet

angdai bhi vo lene na paae utha ke haath

dekha jo mujh ko chhod diye muskura ke haath

she couldn’t stretch her limbs, with all her ample grace

on seeing me she smiled and kept, her modesty in place

be-sakhta nigahen jo aapas men mil gaiin

kya munh par us ne rakh liye ankhen chura ke haath

inadvertently, when, our eyes did chance to meet

she looked away from me, and then, covered up her face

ye bhi naya sitam hai hina to lagaen ghair

aur us ki daad chahen vo mujh ko dikha ke haath

tis a novel torture, henna, my rival applies

while she waits for compliments from me- so in my face!!

be-ikhtiyar ho ke jo main paanv par gira

thodi ke niche us ne dhara muskura ke haath

—

—

gar dil ko bas men paaen to naseh tiri sunen

apni to marg-o-zist hai us bevafa ke haath

—

—

vo zanuon men siina chhupana simat ke haae

aur phir sambhalna vo dupatta chhuda ke haath

she doubles up to hide her bosom- such a pity sigh!

then straightens up again to get her scarf back into place

qasid tire bayan se dil aisa thahar gaya

goya kisi ne rakh diya siine pe aa ke haath

—

—

ai dil kuchh aur baat ki raghbat na de mujhe

sunni padengi saikdon us ko laga ke haath

—

—

vo kuchh kisi ka kah ke satana sada mujhe

vo khinch lena parde se apna dikha ke haath

—

—

dekha jo kuchh ruka mujhe to kis tapak se

gardan men meri daal diye aap aa ke haath

—

—

phir kyuun na chaak ho jo hain zor-azmaiyan

bandhunga phir dupatta se us be-khata ke haath

wherever do I go to if I, from your street depart

with both the worlds forsaken, there is no other place

kuche se tere utthen to phir jaaen ham kahan

baithe hain yaan to donon jahan se utha ke haath

—

—

pahchana phir to kya hi nadamat hui unhen

pandit samajh ke mujh ko aur apna dikha ke haath

I do recall her offering to me the glass of wine

holding out her hand this way turning away her face

dena vo us ka saghar-e-mai yaad hai ‘nizam’

munh pher kar udhar ko idhar ko badha ke haath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kaun Aisa Hai Yahan Dil Se Mujhe Yaad Kare

zaKHm Kab Ka Tha Dard uTha Hai Ab

Yahi Nahin Ki Faqat Teri Justuju Bhi Main

Hum Tera Ahd-E-Mohabbat Thahre

KHud Apne Aap Se ruTha Hua Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet