ruuh meñ tāzgī nahīñ qalb meñ raushnī nahīñ
terī qasam tire baġhair zindagī zindagī nahīñ
tazkira-e-ḳhudā nahīñ silsila-e-ḳhudī nahīñ
ab maiñ vahāñ huuñ jis jagah mere sivā koī nahīñ
sajda-e-dost ke liye chāhiye jazb-e-be-ḳhudī
bandagī aur ba-qaid-e-hosh kufr hai bandagī nahīñ
sust qadam the mehr-o-māh rah ga.e misl-e-gard-e-rāh
manzil-e-ishq meñ mirā ham-safar ab koī nahīñ
zauq-e-talab hai hāsil-e-husn-e-tamām-e-kā.enāt
tālib-e-dīd bhī to ho javoñ kī kuchh kamī nahīñ
naġhma-e-dil pe jhūmnā pā-e-sanam ko chūmnā
zāhid-e-ḳhushk-tar abhī vāqif-e-bandagī nahīñ
‘ārzū’ dil ke saath saath hosh-o-ḳhirad bhī phūñk de
ishq meñ ārzū-e-ishq shān-e-qalandarī nahīñ