bipta mori kaun sunega
tera sahara shaah mujhe hai
beri tore pyaar men kamli
haar gai dil vaar gai
bikhar rahi hai tanhai men
mujh ko banhon men bhar le
kar tu mujh ko pyaar piya
jivan tujh par vaar diya
tore bin main huun adhuri huun
tu chhu le to puuri huun
vasl kiya to darna kya
hijr na mujh men bharna piya
pyaar nibhana hoga mujh se rabt badhana hoga mujh se
tu dariya hai main huun pyasi
ban ke rahungi teri daasi
dil men mere aan base ho
nainan men bhi tu hi jache ho
sar se pa ta chumo mujh ko
vaadi vaadi parbat parbat qarya qarya gulshan gulshan
saath men le ke ghumo mujh ko
teri huun main teri rahungi
tujh bin main to ji na sakungi
Leave a Reply