• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hum Patthar Nahin Hain

Hum Patthar Nahin Hain

shahnaz-nabi

jab vo apne gharon se nikle

un ke saron pe kafan bandha tha

dilon men josh

ankhon men be-khaufi

qabile ki buzurg-tarin hasti ne pukarna chaha

apni talvaren lete jaao

lekin un ke patthar hone ka dar tha

jab vo apni bastiyon se nikle

un ke sinon men dabi hui aahen thiin

honton pe larzishen

haath duaon ke liye daraz

us ne pukarna chaha

apne razm-name lete jaao

lekin khamosh rahi

jab vo sarhadon pe pahunche

un ki ankhon men tasviren thiin

dilon men hasraten

qadmon men laghzishen

us ne bahut chaha ki unhen na pukare

apni loriyan lete jaao

sabhon ne mud kar us ki taraf dekha

aur kaha

ham patthar nahin hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nigah-E-Yar Sun Hasil Hai Mujh Kun Mai-Noshi

KHWAJA GHULAM FARID

dil-dardon Hun Haari Wo Yar

Rakha Hai Bazm Mein Usne Charagh Kar Ke Mujhe

Rawish Rawish Pe Hain Nikhat-Fashan Gulab Ke Phul

KHud Apne Sath Safar Mein Rahe to Achchha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet