mazhab ka octopus
pakad leta hai fard ko
us ke baazu phail jaate hain
har masam har uzv par
ye haavi ho jaata hai
har har saans par
ifrit ban kar nigal leta hai
jazbat ke reshmi thanon ko
masal kar rakh deta hai
dil-sokhta ki har khvahish ko
silen rakh deta hai dil-e-nazuk par
uupar se niche tak
be-shumar be-hisab
jo machle shikar us ka
aur sakht ho jaati hai
giraft us ki
zara si kushadgi bhi nahin bhati us ko
mohabbat ki sadgi
kahan pasand aati hai us ko
us ki qumchi har vaqt barasne ko tayyar hai
jazbat ke khel men
fard ka ehsas
kyuun hai qabil-e-etiraz
Leave a Reply