dariche so ga.e shab jagti hai
mere kamre men kaisi ḳhamushi hai
jidhar dekho fasurda zindagi hai
mujhe lagta hai ye gham ki sadi hai
jo raston men bhaTakti phir rahi hai
ise pahchan fikr-e-zindagi hai
samundar ka tamavvuj abr-o-baran
zamin ke dil men phir bhi tishnagi hai
har ik lamha hamara ḳhun-e-taza
mohabbat jonk ban kar chusti hai
ye sannaTa ye tanha.i ye kamra
ḳhayalon men chuḌail ab nachti hai
main ‘nayyar’ kya dikha.un zaḳhm dil ka
kisi ki aankh ḳhud nam ho ga.i hai
Leave a Reply