kaun hai kis ka giraftar na samjha jaa.e
yahi behtar hai ye asrar na samjha jaa.e
main ne kab duniya men aane ki tamanna ki thi
mujh ko duniya ka talabgar na samjha jaa.e
saari duniya ko badalna koi asan nahin
kisi divane ko be-kar na samjha jaa.e
us ko batin se sarokar hai zahir se nahin
diin ko raunaq-e-bazar na samjha jaa.e
ik yahi baat to hai is men samajhne vaali
mujhe kafir use din-dar na samjha jaa.e
teri duniya men tire husn ka shaida.i huun
ai ḳhuda mujh ko gunahgar na samjha jaa.e
nau-e-insan ki baḌa.i ka taqaza hai yahi
rang aur nasl ko me.aar na samjha jaa.e
Leave a Reply