har ghaḌi ḳhauf ke girdab men rahna hi nahin
ab mujhe halqa-e-ahbab men rahna hi nahin
main tiri baat kara deta huun ḳhud se lekin
aankh kahti hai kisi ḳhvab men rahna hi nahin
naam bhi leta nahin ab vo kahin jaane ka
kal jo kahta tha ki punjab men rahna hi nahin
ham mulaqat ke auqat baḌha den lekin
der tak chand ko talab men rahna hi nahin
vo to aise hi mujhe aap bulati hai ‘hasan’
jab ki mujh ko adab-adab men rahna hi nahin
Leave a Reply