ḳhud ko socha hai ki ab tanha karun
dil se ik mehman ko chalta karun
vaqt tak milta nahin apne liye
is qadar masruf huun main kya karun
koi kar tadbir mil baiThen kahin
tujh se mil kar dil ka gham halka karun
ab sahi jatin nahin ye ranjishen
ḳhud ko kosun ya unhen kosa karun
kar diya rusva mujhe tu ne magar
main tujhe duniya men kyuun rusva karun
ho mayassar javedani ka safar
ḳhud ko apni zaat se minha karun
jang rishton aur ana men chhiḌ ga.i
harne ka hausla paida karun
us ne puchha yaad karti ho mujhe
kya tumhen milne kabhi aaya karun
kah diya main ne guzar jaata hai din
raat ke sab mas.alon ka kya karun
dard ne dil men na chhoḌi kuchh jagah
tum rahoge ab kahan socha karun
ghar ki chaukhaT par main apni baiTh kar
teri ab bhi raah main dekha karun
gar mujhe fursat mile ‘shamsa-najam’
bas use har vaqt main socha karun
Leave a Reply